Results for 4 Line Urdu Poetry

Husnn daulat ka saath deta hai...

February 06, 2014
Kaun sood-o-ziyaa’n ki duniya mein,
Dard-e-ghurbat ka sath deta hai,

Jab muqaabil hon ishq aur daulat,
Husnn daulat ka saath deta hai..

(sood-o-ziyaan;profit)
Husnn daulat ka saath deta hai... Husnn daulat ka saath deta hai... Reviewed by zubair on February 06, 2014 Rating: 5

Qissa Abhi hijab se agey nahi barha..

January 31, 2014
Qissa abbi hijaab se agey nahi barha,
Main ap, abhi janab se agey nahi barha,

Lekin mein pehle baab se agey nahi barha..
Muddat hui kitaab-e-mohabbat shuru kiye,
Qissa Abhi hijab se agey nahi barha.. Qissa Abhi hijab se agey nahi barha.. Reviewed by zubair on January 31, 2014 Rating: 5

Hum bhi hon ge...

January 31, 2014
Hum bhi hon ge ap ke dil mein magar,
Magar ik bhoolay huye qissay ki tarah,

Kabhi jo na baant pao ge dard to yaad aonga,
Hum tum jo they aik jism ke hissay ki tarah.!
Hum bhi hon ge... Hum bhi hon ge... Reviewed by zubair on January 31, 2014 Rating: 5

Khushi k geet gaaney ko

January 31, 2014
Khushi ke geet gaaney ko zara si baat kaafi hai,
Naseeb-e-gham bhulaaney ko zara si baat kaafi hai,

Ghareeb-e-sheher ke ghar udaasi laakh rehti ho,
Magar hansne hasaaney ko zara si baat kaafi hai..!
Khushi k geet gaaney ko Khushi k geet gaaney ko Reviewed by zubair on January 31, 2014 Rating: 5

Zindagi khaak na thi

January 31, 2014
Zindagi khaak na thi, khaak urratey guzri,
Tujhse kya kehtey tere pass jo Aatey guzri,

Din jo guzraa to kisi ki yaad mein guzra,
Shaam ayi to koi khawb dikhatey guzri.!
Zindagi khaak na thi Zindagi khaak na thi Reviewed by zubair on January 31, 2014 Rating: 5
Powered by Blogger.