Results for Wafa Poetry

Mohabbat Karni Ha To Khuda Se Karo...

February 06, 2014
Mohabbat Karni Ha To Khuda Se Karo Faraz,
Matti K Khilono Se Kabhi Wafa Nahi Milti.!

Mohabbat Karni Ha To Khuda Se Karo... Mohabbat Karni Ha To Khuda Se Karo... Reviewed by zubair on February 06, 2014 Rating: 5

Paikar tha wafa ka...

February 06, 2014
Paikar tha wafa ka, mohabbat ka khuda tha,
Woh shakhss zamaney mein sab se hi juda tha,

Chahat ke khazaney they har lafz mein us ke,
Daaman mera us ne duaaon se bhar tha,

Mujh ko nahin dekha karri dhoop ne chu kar,
Baba mera duniya main mujhe aesa jo mila tha,

Fikrain na zamaney ki kabhi paas bhi ayin,
Hard dard meri hasti se dartaa hi raha tha,

Jab taka raha saanson ka basera mere baba,
Tab tak main ghamon se bachta hi raha tha,

Us shaam ki hiddat mere dil se nahin jati,
Jis shaam tera saaya mere sar se utha tha..
Paikar tha wafa ka... Paikar tha wafa ka... Reviewed by zubair on February 06, 2014 Rating: 5

Yeh kafi hai ke hum...

February 06, 2014
Yeh kafi hai ke hum dushman nahin hain,
Wafaadari ka daava* kyon karain hum..!

(daava;claim)
Yeh kafi hai ke hum... Yeh kafi hai ke hum... Reviewed by zubair on February 06, 2014 Rating: 5

Duniya Ke Sitam Yaad Na Apni Wafaa Yaad...

February 06, 2014
Duniya Ke Sitam Yaad Na Apni Wafaa Yaad
Ab Mujh Ko Nahi Kuch Bhi Mohabbat Ke Siwa Yaad

Mein Shikwah Ba Lab Tha, Mujhe Ye Na Bhi Raha Yaad
Shayad Ke Mere Bhoolnay Waalay Ne Kia Yaad

Kia Jaaniye Kia Ho Gaya Arbaab-e-Junoo.n Ko
Jeenay Ki Adaa Yaad Na Marnay Ki Adaa Yaad

Kia Lutf Ke Mein Apna Pataa Aap Bataaon
Kijiye Koi Bhooli Howi Khaas Apni Adaa Yaad

Muddat Howi Ek Haadsa-e-Ishq Ko Laikin
Ab Tak Hai Tere Dil Ke Dharaknay Ki Sadaa Yaad
Duniya Ke Sitam Yaad Na Apni Wafaa Yaad... Duniya Ke Sitam Yaad Na Apni Wafaa Yaad... Reviewed by zubair on February 06, 2014 Rating: 5
Powered by Blogger.