Results for SMS Poetry

Hijar ka naag to pathar ghayal kar deta hai...

February 06, 2014
Hijar ka naag to pathar ghayal kar deta hai,
Sonay jese shakhss ko peetal kar deta hai,

Mere ishq mein shayed koi kami huyi ho,
Tera hussn to ab bhi paagal kar deta hai,

Aesi lazzat kahin nahin milti, shayed woh,
Apna pyaar bhi chaaye mein hall kar deta hai,

Dil mera veeran hua to hasrat kesi,
Hijar ka zeher to daryaa ko thall kar deta hai,

Mujh ziddi ko rab bhi raazi na kar paye,
Lekin teri aankh ka kaajal kar deta hai,

Tere lamss ka jadu bhi kesa jadu hai,
Jiss ko chuu le us ko sandal kar deta hai,

Tera chahra har chehre per chaa jata hai,
Yeh manzar har manzar aujhal kar deta hai,

Aankh ke registaa’n ko teri yaad ka badal,
Chuu jaye to pal mein jal’thall kar deta hai.
Hijar ka naag to pathar ghayal kar deta hai... Hijar ka naag to pathar ghayal kar deta hai... Reviewed by zubair on February 06, 2014 Rating: 5

Na tumhey hosh rahey...

February 06, 2014

Na tumhey hosh rahey or na mujhey hosh rahey,
Is qadar toot kay chaaho mujhey pagal kar do...!
Na tumhey hosh rahey... Na tumhey hosh rahey... Reviewed by zubair on February 06, 2014 Rating: 5

Yeh mohabbat bhi kya rog ha Faraz

January 31, 2014

Yeh mohabbat bhi kya rog ha Faraz,
Jisey bhooley woh sadaaa yaad aaya.!

Yeh mohabbat bhi kya rog ha Faraz Yeh mohabbat bhi kya rog ha Faraz Reviewed by zubair on January 31, 2014 Rating: 5

Har shakhs nahin hota har shakhss ke kabil

January 31, 2014

Har shakhs nahin hota har shakhss ke kabil,
Har shakhs ko apne liye socha nahin kartey.!

Har shakhs nahin hota har shakhss ke kabil Har shakhs nahin hota har shakhss ke kabil Reviewed by zubair on January 31, 2014 Rating: 5

Qissa Abhi hijab se agey nahi barha..

January 31, 2014
Qissa abbi hijaab se agey nahi barha,
Main ap, abhi janab se agey nahi barha,

Lekin mein pehle baab se agey nahi barha..
Muddat hui kitaab-e-mohabbat shuru kiye,
Qissa Abhi hijab se agey nahi barha.. Qissa Abhi hijab se agey nahi barha.. Reviewed by zubair on January 31, 2014 Rating: 5

Hum bhi hon ge...

January 31, 2014
Hum bhi hon ge ap ke dil mein magar,
Magar ik bhoolay huye qissay ki tarah,

Kabhi jo na baant pao ge dard to yaad aonga,
Hum tum jo they aik jism ke hissay ki tarah.!
Hum bhi hon ge... Hum bhi hon ge... Reviewed by zubair on January 31, 2014 Rating: 5

Khushi k geet gaaney ko

January 31, 2014
Khushi ke geet gaaney ko zara si baat kaafi hai,
Naseeb-e-gham bhulaaney ko zara si baat kaafi hai,

Ghareeb-e-sheher ke ghar udaasi laakh rehti ho,
Magar hansne hasaaney ko zara si baat kaafi hai..!
Khushi k geet gaaney ko Khushi k geet gaaney ko Reviewed by zubair on January 31, 2014 Rating: 5

Zindagi khaak na thi

January 31, 2014
Zindagi khaak na thi, khaak urratey guzri,
Tujhse kya kehtey tere pass jo Aatey guzri,

Din jo guzraa to kisi ki yaad mein guzra,
Shaam ayi to koi khawb dikhatey guzri.!
Zindagi khaak na thi Zindagi khaak na thi Reviewed by zubair on January 31, 2014 Rating: 5
Powered by Blogger.